
Shayad aaj phir is hawa mein teri dhundhli tasveer dikhi
Lagta hai aaj chand poora hai
Duniya ke is shor ka sannata koshish kar raha hai sunane apni dastan
Lagta hai aaj sailab aana hai
Chandni fiki si lagti hai tere laung ki chamk se
Itni khubsurati toh khata hi hai khuda ki
Saans lene mein bhi mehak si hai tere baalon ki
Yeh kan se sate hue tere baal, kuch toh ishara karte hain mujhe
Shabab ka nasha hai hi kuch aisa
Ki duniya ke har zarre mein tu hi basti nazar aati haiLamhon ki shararat hai yeh, ya kahin naam liya tune mera
In hawaon mein halki si kashish mehsoos hui yahan
Yeh chandni hai ya roshni hai tere chehre ki
Ittefaq se aaj chand mein bhi gurur lagta hai
Is suraj ki deh par boond giri hai kahin
Ya shayad teri muskan ne mausam badal diye hain yahan
Yeh bin badal barsaat ki boonden kuch toh sandesa de rahi hain mujhe
Ki itna shaant toofan toh teri saanson mein hi hua karta tha
Yeh sangeet ka saaz kudrat ka hai,ya Kahin chudiya khanak gayi hai teri
Ki is kayamat ko bhi gumaan sa hone laga hai ab toh
Tere labo se sata hua yeh rang, jaise suraj doobne hi wala ho
Tere mathe pe saji hui yeh bindi, jaise chand nakhre karke baitha ho
Tere chehre pe chitakti hui yeh baarish ki bunde, jaise sagar ne khol diye ho chor apneIs raat mein itne chamak kahan ki tujhse mukabla kare
Is chand mein itna gurur kahan jo tujhse jyada khubsurat lage
Is aag mein itni lalk kahan jo tere sanson ki garmi ko bujha paye
Is duniya mein itni achhai kahan, jo tere jaisa koi aur mil payeHum intzaar mein hai ki koi hume utha de is sapne se
Kyunki tera sachmuch ka hona ek khwaab mein bhi mumkin nahiPar kaise samjhaun mein khudko, ki chua hai is khwab ko maine
Mehsoos kiya hai samate hue is khwab ko khudme
Rab ki inayat aisi hui mujhpe, ki khwab hakikat ban gaya tha meri
jee toh chuka hi hun mein is jindagi ko tere baalon ke sayein mein
Yaad hai tujhe woh chupke se tujhe darana,
Tham lena tere hath ko un ubad khabad rason pe
Who naam likhna mera teri kamar pe aur har akshar ke sath chum lena teri kalai ko
Yakin ho gaya tha mujhe ki jannat sirf baton tak hi simit nahi haiPar kismet bhi ajeeb ehsaas karti hai mujhe
Ab dard se jyada sachha aur apna shayad hi koi aur lagta haiSamjha raha hun is dil ko, ki na jaye teri aur
Lagta hai aaj neend phir bewafai karne wali hai
Waqt ki ek sui hunesha ishara deti hai mujhe,
Par aage badhne ke liyen raasta bhi toh jaruti hai
Samjhate hain mere yaar mujhe, ki jindagi haseen hai
Yaaro ki kya sunu mein,aajkal toh yeh dil bhi dil ki nai sunta.
maan liya ki aaj ki raat bhi takiye ko pakad ke karwate badalenge hum
Aisi anginat raton ne jaise aadat bana di hai yeh
Uthunga phir se in takiyo ki god mein
Kyunki yadein gili hoke sama chuki hai inmeGustakhi toh sharab ki bhi nahi hai
Ki haseen hone ke mayne hi badal diye hain is chehre ne
narajgi chand pe bhi kya nikalun mein,Aakhir aaj chand poora hai